hua hai taur-e-barbaadi jo be-dastur pahlu mein
dil-e-betab ko rahta hai na-manzur pahlu mein
ajab dil ko lagi hai lau ajab hai nur pahlu mein
kiya hai ishq ne raushan charagh-e-tur pahlu mein
kaha jo main ne mere dil ki ek taswir khinchwa do
manga kar rakh diya ek shisha chaknachur pahlu mein
KHushi ho ho ke ulfat mein jo bar-e-gham uThata hai
dil-e-shaida hai ya hai ishq ka mazdur pahlu mein
hawas hai dil ko tere hath se majruh hone ki
laga de ek chhuri ai qatil-e-maghrur pahlu mein
ham-aghoshi se jab se yar ne pahlu-tahi ki hai
usi din se hui hai be-kali mamur pahlu mein
teri taswir jab main DhunDne uThta hun jannat mein
biTha leti hai minnat kar ke mujh ko hur pahlu mein
taDap jata hai dil teri judai yaad aati hai
chamak jata hai ya-rab kis pari ka nur pahlu mein
tasadduq tujh pe jis dam najd mein ho jaega majnun
jagah dega tera diwana-e-maghfur pahlu mein
KHadang-e-naz ki aamad par aamad is mein rahti hai
ye bab-e-dil-kusha hai ya ki hai nasur pahlu mein
ilahi mere us ke wo ham-aghoshi ki surat ho
ki jaise dil ki hai pechidgi mashhur pahlu mein
hua is darja ghalba us pe ThanDi ThanDi sanson ka
ki aaKHir dil hamara ho gaya kafur pahlu mein
nai tir-e-lab-e-mashuq ne ki raKHna-pardazi
tasallut to kiya dil mein hua nasur pahlu mein
barabar apne baiThe dekha hai yusuf ko ruya mein
KHuda chahe to aa baiThe wo rashk-e-hur pahlu mein
muslim us ke hone ki 'sharaf' tadbir batlao
paDa hai muddaton se shisha-e-dil chur pahlu mein
Ghazal
Hua hai taur-e-barbaadi jo be-dastur pahlu mein
Agha Hajju Sharaf