اردو हिंदी
Har nai rut mein naya hota hai manzar mera | Shaahi Shayari
har nai rut mein naya hota hai manzar mera

Ghazal

Har nai rut mein naya hota hai manzar mera

Bashar Nawaz

;

har nai rut mein naya hota hai manzar mera
ek paikar mein kahan qaid hai paikar mera

main kahan jaun ki pahchan sake koi mujhe
ajnabi man ke chalta hai mujhe ghar mera

jaise dushman hi nahin koi mera apne siwa
lauT aata hai meri samt hi patthar mera

jo bhi aata hai wahi dil mein sama jata hai
kitne dariyaon ka pyasa hai samundar mera

tu wo mahtab taken rah ujale teri
main wo suraj ki andhera hai muqaddar mera