اردو हिंदी
Har ek raat ko mahtab dekhne ke liye | Shaahi Shayari
har ek raat ko mahtab dekhne ke liye

Ghazal

Har ek raat ko mahtab dekhne ke liye

Azhar Inayati

;

har ek raat ko mahtab dekhne ke liye
main jagta hun tera KHwab dekhne ke liye

na jaane shahr mein kis kis se jhuT bolunga
main ghar ke phulon ko shadab dekhne ke liye

isi liye main kisi aur ka na ho jaun
mujhe wo de gaya ek KHwab dekhne ke liye

kisi nazar mein to rah jae aaKHiri manzar
koi to ho mujhe gharqab dekhne ke liye

ajib sa hai bahana magar tum aa jaana
hamare ganw ka sailab dekhne ke liye

paDosiyon ne ghalat rang de diya 'azhar'
wo chhat pe aaya tha mahtab dekhne ke liye