har-chand gham-o-dard ki qimat bhi bahut thi
lena hi paDa dil ko zarurat bhi bahut thi
zalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi
majbur the hum us se mohabbat bhi bahut thi
go tark-e-talluq mein suhulat bhi bahut thi
lekin na hua hum se ki ghairat bhi bahut thi
us but ke sitam sah ke dikha hi diya hum ne
go apni tabiat mein baghawat bhi bahut thi
waqif hi na tha ramz-e-mohabbat se wo warna
dil ke liye thoDi si inayat hi bahut thi
yun hi nahin mashhur-e-zamana mera qatil
us shaKHs ko is fan mein mahaarat bhi bahut thi
kya daur-e-ghazal tha ki lahu dil mein bahut tha
aur dil ko lahu karne ke fursat bhi bahut thi
har sham sunate the hasinon ko ghazal hum
jab mal bahut tha to saKHawat bhi bahut thi
bulwa ke hum 'ajiz' ko pasheman bhi bahut hain
kya kijiye kam-baKHt ki shohrat bhi bahut thi
Ghazal
Har-chand gham-o-dard ki qimat bhi bahut thi
Kaleem Aajiz