hamare waste hai ek jina aur mar jaana
ki hum ne zindagi ko jada-e-rah-e-safar jaana
yakayak manzil-e-afat-e-alam se guzar jaana
Daren kyun maut se jab hai isi ka nam mar jaana
teri nazron se gir jaana tere dil se utar jaana
ye wo uftad hai jis se bahut achchha hai mar jaana
jawab-e-abr-e-naisan tujh ko hum ne chashm-e-tar jaana
ki har ek qatra-e-ashk-e-chakida ko guhar jaana
talatum aarzu mein hai na tufan justuju mein hai
jawani ka guzar jaana hai dariya ka utar jaana
hum apne rahzan o rahbar the lekin sada-lauhi se
kisi ko rahzan samjhe kisi ko rahbar jaana
main aise rah-rau ki justuju mein mar miTa jis ne
tan-e-KHaki ko rah-e-ishq mein gard-e-safar jaana
lab-e-baam aae tum aur un ke chehre ho gae phike
qamar ne tum ko KHurshid aur sitaron ne qamar jaana
na bhulega hamein 'mahrum' subh-e-roz-e-mahshar tak
kisi ka maut ke aaghosh mein waqt-e-sahar jaana
Ghazal
Hamare waste hai ek jina aur mar jaana
Tilok Chand Mahroom