اردو हिंदी
Ham-nafaso ujaD gain mehr-o-wafa ki bastiyan | Shaahi Shayari
ham-nafaso ujaD gain mehr-o-wafa ki bastiyan

Ghazal

Ham-nafaso ujaD gain mehr-o-wafa ki bastiyan

Abdul Majeed Salik

;

ham-nafaso ujaD gain mehr-o-wafa ki bastiyan
puchh rahe hain ahl-e-mehr-o-wafa ko kya hua

ishq hai be-guzar kyun husn hai be-niyaz kyun
meri wafa kahan gai un ki jafa ko kya hua

ye to baja ki ab wo kaif jam-e-sharab mein nahin
saqi-e-mai ke ghamza-e-hosh-ruba ko kya hua

ab nahin jannat masham-e-kucha-e-yar ki shamim
nikhat-e-zulf kya hui baad-e-saba ko kya hua

tham gaya daura-e-hayat ruk gai nabz-e-kaenat
ishq-o-junun ki garmi-e-hamhama-za ko kya hua

dasht-e-junun mein ho gai manzil-e-yar be-suragh
qafila kis taraf gaya bang-e-dara ko kya hua

nala-e-shab hai na-rasa aah-e-sahar hai be-asar
mera KHuda kahan gaya mere KHuda ko kya hua