اردو हिंदी
Hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin | Shaahi Shayari
hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin

Ghazal

Hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin

Jigar Moradabadi

;

hum ko miTa sake ye zamane mein dam nahin
hum se zamana KHud hai zamane se hum nahin

be-faeda alam nahin bekar gham nahin
taufiq de KHuda to ye nemat bhi kam nahin

meri zaban pe shikwa-e-ahl-e-sitam nahin
mujh ko jaga diya yahi ehsan kam nahin

ya rab hujum-e-dard ko de aur wusaten
daman to kya abhi meri aankhen bhi nam nahin

shikwa to ek chheD hai lekin haqiqatan
tera sitam bhi teri inayat se kam nahin

ab ishq us maqam pe hai justuju-naward
saya nahin jahan koi naqsh-e-qadam nahin

milta hai kyun maza sitam-e-rozgar mein
tera karam bhi KHud jo sharik-e-sitam nahin

marg-e-'jigar' pe kyun teri aankhen hain ashk-rez
ek saneha sahi magar itna aham nahin