hae wo waqt-e-judai ke hamare aansu
gir ke daman pe bane the jo sitare aansu
lal o gauhar ke KHazane hain ye sare aansu
koi aankhon se chura le na tumhaare aansu
un ki aankhon mein jo aaen to sitare aansu
meri aankhon mein agar hun to bichaare aansu
daman-e-sabr bhi hathon se mere chhuT gaya
ab to aa pahunche hain palkon ke kinare aansu
aap lillah meri fikr na kije hargiz
aa gae hain yunhi bas shauq ke mare aansu
do ghaDi dard ne aankhon mein bhi rahne na diya
hum to samjhe the banenge ye sahaare aansu
tu to kahta tha na roenge kabhi tere liye
aaj kyun aa gae palkon ke kinare aansu
aaj tak hum ko qalaq hai usi ruswai ka
bah gae the jo bichhaDne pe hamare aansu
mere Thahre hue ashkon ki haqiqat samjho
kar rahe hain kisi tufan ke ishaare aansu
aaj ashkon pe mere tum ko hansi aati hai
tum to kahte the kabhi in ko sitare aansu
is qadar gham bhi na de kuchh na rahe pas mere
aisa lagta hai ki bah jaenge sare aansu
dil ke jalne ka agar ab bhi ye andaz raha
phir to ban jaenge ek din ye sharare aansu
tum ko rimjhim ka nazara jo laga hai ab tak
hum ne jalte hue aankhon se guzare aansu
mere honTon ko to jumbish bhi na hogi lekin
shiddat-e-gham se jo ghabra ke pukare aansu
meri fariyaad suni hai na wo dil mom hua
yunhi bah bah ke mere aaj ye haare aansu
un ko 'nasir' kabhi aankhon se na girne dena
meri aankhon mein inhen lagte hain pyare aansu
Ghazal
Hae wo waqt-e-judai ke hamare aansu
Hakeem Nasir