gham-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche
mujhe KHauf hai ye tohmat tere nam tak na pahunche
main nazar se pi raha tha to ye dil ne bad-dua di
tera hath zindagi bhar kabhi jam tak na pahunche
wo nawa-e-muzmahil kya na ho jis mein dil ki dhaDkan
wo sada-e-ahl-e-dil kya jo awam tak na pahunche
mere tair-e-nafas ko nahin baghban se ranjish
mile ghar mein aab-o-dana to ye dam tak na pahunche
nai subh par nazar hai magar aah ye bhi Dar hai
ye sahar bhi rafta rafta kahin sham tak na pahunche
ye ada-e-be-niyazi tujhe bewafa mubarak
magar aisi be-ruKHi kya ki salam tak na pahunche
jo naqab-e-ruKH uTha di to ye qaid bhi laga di
uThe har nigah lekin koi baam tak na pahunche
unhen apne dil ki KHabren mere dil se mil rahi hain
main jo un se ruTh jaun to payam tak na pahunche
wahi ek KHamosh naghma hai 'shakil' jaan-e-hasti
jo zaban par na aae jo kalam tak na pahunche
Ghazal
Gham-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche
Shakeel Badayuni