firaq-e-yar ne bechain mujh ko raat bhar rakkha
kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya idhar rakkha
shikast-e-dil ka baqi hum ne ghurbat mein asar rakha
likha ahl-e-watan ko KHat to ek gosha katar rakkha
barabar aaine ke bhi na samjhe qadr wo dil ki
ise zer-e-qadam rakkha use pesh-e-nazar rakkha
miTae dida-o-dil donon mere ashk-e-KHunin ne
ajab ye tifl abtar tha na ghar rakkha na dar rakkha
tumhaare sang-e-dar ka ek TukDa bhi jo hath aaya
aziz aisa kiya mar kar use chhati pe dhar rakkha
jinan mein sath apne kyun na le jaunga naseh ko
suluk aisa hi mere sath hai hazrat ne kar rakkha
na ki kis ne sifarish meri waqt-e-qatl qatil se
kaman ne hath joDe tegh ne qadmon pe sar rakkha
ghazab barse wo mere aate hi malum hota hai
jagah KHali jo pai yar ko ghairon ne bhar rakkha
baDa ehsan hai mere sar pe us ki laghzish-e-pa ka
ki is ne be-tahasha hath mere dosh par rakkha
zamin mein dana-e-gandum sadaf mein hum hue gauhar
hamare ijz ne har marka mein hum ko dar rakkha
tere har naqsh-e-pa ko rahguzar mein sajda-gah samjhe
jahan tu ne qadam rakkha wahan main ne bhi sar rakkha
amir achchha shagun-e-mai kiya saqi ki furqat mein
jo barsa abr-e-rahmat ja-e-mai shishon mein bhar rakkha
Ghazal
Firaq-e-yar ne bechain mujhko raat bhar rakkha
Ameer Minai