ek qatra ashk ka chhalka to dariya kar diya
ek musht-e-KHak jo bikhri to sahra kar diya
mere TuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne diwaron ko apni aur uncha kar diya
wardat-e-qalb likkhi hum ne farzi nam se
aur hathon-hath us ko KHud hi le ja kar diya
us ki naraazi ka suraj jab sawa neze pe tha
apne harf-e-ijz hi ne sar pe saya kar diya
duniya bhar ki KHak koi chhanta phirta hai ab
aap ne dar se uTha kar kaisa ruswa kar diya
ab na koi KHauf dil mein aur na aankhon mein umid
tu ne marg-e-na-gahan bimar achchha kar diya
bhul ja ye kal tere naqsh-e-qadam the chand par
dekh un hathon ko kis ne aaj kasa kar diya
hum to kahne ja rahe the hamza-e-ye wassalam
bich mein us ne achanak nun-ghunna kar diya
hum ko gali ke liye bhi lab hila sakte nahin
ghair ko bosa diya to munh se dikhla kar diya
tirgi ki bhi koi had hoti hai aaKHir miyan
surKH parcham ko jala kar hi ujala kar diya
bazm mein ahl-e-suKHan taqtia farmate rahe
aur hum ne apne dil ka bojh halka kar diya
jaane kis ke muntazir baiThe hain jhaDu pher kar
dil se har KHwahish ko 'adil' hum ne chalta kar diya
Ghazal
Ek qatra ashk ka chhalka to dariya kar diya
Adil Mansuri