dil ki taraf dimagh se wo aane wala hai
ye bhi makan hath se ab jaane wala hai
ek lahar us ki aankh mein hai hausla-shikan
ek rang us ke chehre pe bahkane wala hai
ye kaun aane jaane laga us gali mein ab
ye kaun meri dastan dohrane wala hai
duniya pasand aane lagi dil ko ab bahut
samjho ki ab ye bagh bhi murjhane wala hai
jo saat-e-hasin thi wo roke nahin ruki
ye lamha bhi 'jamal' guzar jaane wala hai
Ghazal
Dil ki taraf dimagh se wo aane wala hai
Jamal Ehsani