dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se
chehre tamam lagne lage hain ajib se
ai ruh-e-asr jag kahan so rahi hai tu
aawaz de rahe hain payambar salib se
is rengti hayat ka kab tak uThaen bar
bimar ab ulajhne lage hain tabib se
har gam par hai majma-e-ushshaq muntazir
maqtal ki rah milti hai ku-e-habib se
is tarah zindagi ne diya hai hamara sath
jaise koi nibah raha ho raqib se
Ghazal
Dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se
Sahir Ludhianvi