dagh duniya ne diye zaKHm zamane se mile
hum ko tohfe ye tumhein dost banane se mile
hum taraste hi taraste hi taraste hi rahe
wo falane se falane se falane se mile
KHud se mil jate to chahat ka bharam rah jata
kya mile aap jo logon ke milane se mile
man ki aaghosh mein kal maut ki aaghosh mein aaj
hum ko duniya mein ye do waqt suhane se mile
kabhi likhwane gae KHat kabhi paDhwane gae
hum hasinon se isi hile bahane se mile
ek naya zaKHm mila ek nai umr mili
jab kisi shahr mein kuchh yar purane se mile
ek hum hi nahin phirte hain liye qissa-e-gham
un ke KHamosh labon par bhi fasane se mile
kaise manen ki unhen bhul gaya tu ai 'kaif'
un ke KHat aaj hamein tere sirhane se mile
Ghazal
Dagh duniya ne diye zaKHm zamane se mile
Kaif Bhopali