اردو हिंदी
Brindaban ke krishn kanhaiya allah hu | Shaahi Shayari
brindaban ke krishn kanhaiya allah hu

Ghazal

Brindaban ke krishn kanhaiya allah hu

Nida Fazli

;

brindaban ke kirshn kanhaiya allah hu
bansi radha gita gayya allah hu

thoDe tinke thoDe dane thoDa jal
ek hi jaisi har gaurayya allah hu

jaisa jis ka bartan waisa us ka tan
ghaTti baDhti ganga mayya allah hu

ek hi dariya nila pila lal hara
apni apni sab ki nayya allah hu

maulwiyon ka sajda panDit ki puja
mazduron ki haiyya haiyya allah hu