bismil ke taDapne ki adaon mein nasha tha
main hath mein talwar liye jhum raha tha
ghunghaT mein mere KHwab ki tabir chhupi thi
mehndi se hatheli mein mera nam likha tha
lab the ki kisi pyali ke honTon pe jhuke the
aur hath kahin gardan-e-mina mein paDa tha
hammam ke aaine mein shab Dub rahi thi
cigarette se nae din ka dhuan phail raha tha
dariya ke kinare pe meri lash paDi thi
aur pani ki tah mein wo mujhe DhunDh raha tha
malum nahin phir wo kahan chhup gaya 'adil'
saya sa koi lams ki sarhad pe mila tha
Ghazal
Bismil ke taDapne ki adaon mein nasha tha
Adil Mansuri