اردو हिंदी
Bhula pana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rahta hai | Shaahi Shayari
bhula pana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rahta hai

Ghazal

Bhula pana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rahta hai

Munawwar Rana

;

bhula pana bahut mushkil hai sab kuchh yaad rahta hai
mohabbat karne wala is liye barbaad rahta hai

agar sone ke pinjDe mein bhi rahta hai to qaidi hai
parinda to wahi hota hai jo aazad rahta hai

chaman mein ghumne phirne ke kuchh aadab hote hain
udhar hargiz nahin jaana udhar sayyaad rahta hai

lipaT jati hai sare raston ki yaad bachpan mein
jidhar se bhi guzarta hun main rasta yaad rahta hai

hamein bhi apne achchhe din abhi tak yaad hain 'rana'
har ek insan ko apna zamana yaad rahta hai