اردو हिंदी
Be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko | Shaahi Shayari
be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko

Ghazal

Be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko

Shahryar

;

be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko
aawara hain aur dasht ka sauda nahin hum ko

ghairon ki mohabbat pe yaqin aane laga hai
yaron se agarche koi shikwa nahin hum ko

nairangi-e-dil hai ki taghaful ka karishma
kya baat hai jo teri tamanna nahin hum ko

ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai
ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko

ya tum bhi mudawa-e-alam kar nahin sakte
ya chaaragaro fikr-e-mudawa nahin hum ko

yun barhami-e-kakul-e-imroz se KHush hain
jaise ki KHayal-e-ruKH-e-farda nahin hum ko