be-sabab kyun tabah hota hai
fikr-e-farda gunah hota hai
tujh ko kya dusron ke aibon se
kyun abas ru-siyah hota hai
mujh ko tanha na chhoD kar jao
ye KHala be-panah hota hai
zak usi se bahut pahunchti hai
jo mera KHair-KHwah hota hai
us ghaDi us se mang lo sab kuchh
jab 'adam' baadshah hota hai
Ghazal
Be-sabab kyun tabah hota hai
Abdul Hamid Adam