bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain
meri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain
nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain
jise kahti hai duniya kaamyabi wae na-dani
use kin qimaton par kaamyab insan lete hain
nigah-e-baada-gun yun to teri baaton ka kya kahna
teri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain
tabiat apni ghabraati hai jab sunsan raaton mein
hum aise mein teri yaadon ki chadar tan lete hain
KHud apna faisla bhi ishq mein kafi nahin hota
use bhi kaise kar guzren jo dil mein Than lete hain
hayat-e-ishq ka ek ek nafas jam-e-shahadat hai
wo jaan-e-naz-bardaran koi aasan lete hain
ham-ahangi mein bhi ek chashni hai iKHtilafon ki
meri baaten ba-unwan-e-digar wo man lete hain
teri maqbuliyat ki wajh wahid teri ramziyyat
ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain
ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar jaanen
KHuda-e-do-jahan ko de ke hum insan lete hain
jise surat batate hain pata deti hai sirat ka
ibarat dekh kar jis tarah mani jaan lete hain
tujhe ghaTa na hone denge karobar-e-ulfat mein
hum apne sar tera ai dost har ehsan lete hain
hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai
to teri har nazar se hum naya paiman lete hain
rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-waqt-e-aKHir hai
tera ai maut hum ye dusra ehsan lete hain
zamana wardat-e-qalb sunne ko tarasta hai
isi se to sar aankhon par mera diwan lete hain
'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir
kabhi hum jaan lete hain kabhi pahchan lete hain
Ghazal
Bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain
Firaq Gorakhpuri