awwal awwal ki dosti hai abhi
ek ghazal hai ki ho rahi hai abhi
main bhi shahr-e-wafa mein nau-warid
wo bhi ruk ruk ke chal rahi hai abhi
main bhi aisa kahan ka zud-shanas
wo bhi lagta hai sochti hai abhi
dil ki waraftagi hai apni jagah
phir bhi kuchh ehtiyat si hai abhi
garche pahla sa ijtinab nahin
phir bhi kam kam supurdagi hai abhi
kaisa mausam hai kuchh nahin khulta
bunda-bandi bhi dhup bhi hai abhi
KHud-kalami mein kab ye nashsha tha
jis tarah ru-ba-ru koi hai abhi
qurbaten lakh KHub-surat hon
duriyon mein bhi dilkashi hai abhi
fasl-e-gul mein bahaar pahla gulab
kis ki zulfon mein Tankti hai abhi
muddaten ho gain 'faraaz' magar
wo jo diwangi ki thi hai abhi
Ghazal
Awwal awwal ki dosti hai abhi
Ahmad Faraz