aks ko qaid ki parchhain ko zanjir karen
saat-e-hijr tujhe kaise jahangir karen
panw ke niche koi shai hai zamin ki surat
chand din aur isi wahm ki tashhir karen
shahr-e-ummid haqiqat mein nahin ban sakta
to chalo us ko tasawwur hi mein tamir karen
ab to le de ke yahi kaam hai in aankhon ka
jin ko dekha nahin un KHwabon ki tabir karen
hum mein jurat ki kami kal ki tarah aaj bhi hai
tishnagi kis ke labon par tujhe tahrir karen
umr ka baqi safar karna hai is shart ke sath
dhup dekhen to ise sae se tabir karen
Ghazal
Aks ko qaid ki parchhain ko zanjir karen
Shahryar