agar hum na the gham uThane ke qabil
to kyun hote duniya mein aane ke qabil
karun chaak sina to sau bar lekin
nahin dagh dil ye dikhane ke qabil
milen tum se kyunkar rahe hi nahin hum
bulane ke qabil na aane ke qabil
chhuTe bhi qafas se to kis kaam ke hain
nahin jab chaman tak bhi jaane ke qabil
ba-juz us ke the KHak pahle bhi ai charKH
na the KHak mein phir milane ke qabil
kiya tark-e-duniya main jab to ye samjhe
ki duniya nahin dil lagane ke qabil
wo aae dam-e-naza kya kah saken
nahin honT tak bhi hilane ke qabil
KHudaya ye ranj aur ye na-suburi
na the hum to is aazmane ke qabil
rahe hum na kuchh mustafa-KHan ke gham mein
na fikr-e-suKHan ne paDhane ke qabil
na chhoDenge mahbub-e-ilahi ke dar ko
nahin go hum is aastane ke qabil
hamein qaid karne se kya nafa sayyaad
na the dam mein hum to lane ke qabil
na baal munaqqash na par-ha-e-rangin
na aawaz-e-KHush ke sunane ke qabil
hue hain wo na-qqabilon mein shumar ab
jinhen mante the zamane ke qabil
wo 'azurda' jo KHush-bayan the nahin ab
ishaare se bhi kuchh batane ke qabil
Ghazal
Agar hum na the gham uThane ke qabil
Mufti Sadruddin Aazurda