ab ye sifat jahan mein nayab ho gai hai
malmal badan pe us ke kam-KHwab ho gai hai
koi pata de us ko meri kitab-e-jaan ka
duniya ke sath wo bhi ek bab ho gai hai
phulon-bhari zamin ho KHushbu-bhari hon sansen
ye aarzu bhi meri kya KHwab ho gai hai
main bas ye kah raha hun rasm-e-wafa jahan mein
bilkul nahin miTi hai kamyab ho gai hai
takmil pa raha hai ye kis ke ghar ka naqsha
diwaren uTh chuki hain mehrab ho gai hai
chashme ubal rahe hain dasht o jabal se kaise
kya ye zamin itni sairab ho gai hai
Ghazal
Ab ye sifat jahan mein nayab ho gai hai
Obaid Siddiqi