اردو हिंदी
Ab nahin sine mein mere ja-e-dagh | Shaahi Shayari
ab nahin sine mein mere ja-e-dagh

Ghazal

Ab nahin sine mein mere ja-e-dagh

Mir Taqi Mir

;

ab nahin sine mein mere ja-e-dagh
soz-e-dil se dagh hai baala-e-dagh

dil jala aankhen jalin ji jal gaya
ishq ne kya kya hamein dikhlae dagh

dil jigar jal kar hue hain donon ek
darmiyan aaya hai jab se pa-e-dagh

munfail hain lala o shama o charagh
hum ne bhi kya aashiqi mein khae dagh

wo nahin ab 'mir' jo chhati jale
kha gaya sare jigar ko hae dagh