aaya zara si der raha ghul gaya badan
apni uDai KHak mein hi rul gaya badan
KHwahish thi aabshaar-e-mohabbat mein ghusl ki
halki si ek phuwar mein hi ghul gaya badan
zer-e-kaman dil tha to thoDi si thi umid
ab to hamare hath se bilkul gaya badan
ab dekhta hun main to wo asbab hi nahin
lagta hai raste mein kahin khul gaya badan
main ne bhi ek din use taraj kar diya
mujh ko halak karne pe jab tul gaya badan
Ghazal
Aaya zara si der raha ghul gaya badan
Farhat Ehsas