aasmanon se zamin ki taraf aate hue hum
ek majme ke liye sher sunate hue hum
kis guman mein hain tere shahr ke bhaTke hue log
dekhne wale palaT kar nahin jate hue hum
kaisi jannat ke talabgar hain tu jaanta hai
teri likkhi hui duniya ko miTate hue hum
rail dekhi hai kabhi sine pe chalne wali
yaad to honge tujhe hath hilate hue hum
toD Dalenge kisi din ghane jangal ka ghurur
lakDiyan chunte hue aag jalate hue hum
tum to sardi ki hasin dhup ka chehra ho jise
dekhte rahte hain diwar se jate hue hum
KHud ko yaad aate hi be-saKHta hans paDte hain
kabhi KHat to kabhi taswir jalate hue hum
Ghazal
Aasmanon se zamin ki taraf aate hue hum
Nomaan Shauque