aaghosh-e-sitam mein hi chhupa le koi aa kar
tanha to taDapne se bacha le koi aa kar
sahra mein uga hun ki meri chhanw koi pae
hilta hun ki patton ki hawa le koi aa kar
bikta to nahin hun na mere dam bahut hain
raste mein paDa hun ki uTha le koi aa kar
kashti hun mujhe koi kinare se to khole
tufan ke hi kar jae hawale koi aa kar
jab khinch liya hai mujhe maidan-e-sitam mein
dil khol ke hasrat bhi nikale koi aa kar
do chaar KHarashon se ho taskin-e-jafa kya
shisha hun to patthar pe uchhaale koi aa kar
mere kisi ehsan ka badla na chukae
apni hi wafaon ka sila le koi aa kar
Ghazal
Aaghosh-e-sitam mein hi chhupa le koi aa kar
Adeem Hashmi