aa gaya dil jo kahin aur hi surat hogi
log dekhenge tamasha jo mohabbat hogi
dil-lagi tark-e-mohabbat nahin taqsir muaf
hote hote mere qabu mein tabiat hogi
un ke aane ki KHabar sun ke to ye haal hua
jab wo aaenge to phir kya meri haalat hogi
TukDe kar Dale koi us ke to main bhi KHush hun
dil na hoga na meri jaan mohabbat hogi
wo chhupaya karen is baat se kya hota hai
aap sar chaDh ke pukaregi jo ulfat hogi
ye na farmao shab-e-hijr kaTegi kyunkar
tum ko kya kaam jo hogi meri haalat hogi
mar Dala mujhe be-maut baDa kaam kiya
KHub tarif teri ai shab-e-furqat hogi
ai dil-e-zar maza dekh liya ulfat ka
hum na kahte the ki is kaam mein zillat hogi
ye bhi kuchh baat hai phir wasl na ho ai 'jauhar'
ranj rahat se hua ranj se rahat hogi
Ghazal
Aa gaya dil jo kahin aur hi surat hogi
Lala Madhav Ram Jauhar