اردو हिंदी
Zindagi Shayari | Shaahi Shayari

Zindagi

163 Shers

yun zindagi guzar raha hun tere baghair
jaise koi gunah kiye ja raha hun main

Jigar Moradabadi




zindagi ek hadsa hai aur kaisa hadsa
maut se bhi KHatm jis ka silsila hota nahin

Jigar Moradabadi




man ki aaghosh mein kal maut ki aaghosh mein aaj
hum ko duniya mein ye do waqt suhane se mile

Kaif Bhopali




zindagi shayad isi ka nam hai
duriyan majburiyan tanhaiyan

Kaif Bhopali




dard aisa hai ki ji chahe hai zinda rahiye
zindagi aisi ki mar jaane ko ji chahe hai

Kaleem Aajiz




talKHiyan is mein bahut kuchh hain maza kuchh bhi nahin
zindagi dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin

Kaleem Aajiz




zindagi mail-e-fariyaad-o-fughan aaj bhi hai
kal bhi tha sine pe ek sang-e-giran aaj bhi hai

Kaleem Aajiz