اردو हिंदी
Zindagi Shayari | Shaahi Shayari

Zindagi

163 Shers

kuchh is tarah se guzari hai zindagi jaise
tamam umr kisi dusre ke ghar mein raha

Ahmad Faraz




tere baghair bhi to ghanimat hai zindagi
KHud ko ganwa ke kaun teri justuju kare

Ahmad Faraz




zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah
kis ko itna hausla tha kaun ji kar dekhta

Ahmad Faraz




zindagi! tujh sa munafiq bhi koi kya hoga
tera shahkar hun aur tera hi mara hua hun

Ahmad Fareed




maut KHamoshi hai chup rahne se chup lag jaegi
zindagi aawaz hai baaten karo baaten karo

Ahmad Mushtaq


Tags: | Zindagi | | Awaz | | Maut | | 2 Lines Shayari |


zindagi shama ki manind jalata hun 'nadim'
bujh to jaunga magar subah to kar jaunga

Ahmad Nadeem Qasmi




mujhe KHabar nahin gham kya hai aur KHushi kya hai
ye zindagi ki hai surat to zindagi kya hai

Ahsan Marahravi