اردو हिंदी
Zindagi Shayari | Shaahi Shayari

Zindagi

163 Shers

ahl-e-dil ke waste paigham ho kar rah gai
zindagi majburiyon ka nam ho kar rah gai

Ganesh Bihari Tarz




dard ulfat ka na ho to zindagi ka kya maza
aah-o-zari zindagi hai be-qarari zindagi

Ghulam Bhik Nairang




mujhe zindagi ki dua dene wale
hansi aa rahi hai teri sadgi pa

Gopal Mittal


Tags: | Zindagi | | Dua | | Sadgi | | 2 Lines Shayari |


koi KHamosh zaKHm lagti hai
zindagi ek nazm lagti hai

Gulzar




ek sita ki rifaqat hai to sab kuchh pas hai
zindagi kahte hain jis ko ram ka ban-bas hai

Hafeez Banarasi




kabhi KHirad kabhi diwangi ne luT liya
tarah tarah se hamein zindagi ne luT liya

Hafeez Banarasi




e-talluq zindagi achchhi nahin
zindagi kya maut bhi achchhi nahin

Hafeez Jalandhari