اردو हिंदी
Zarb-ul-masal Shayari | Shaahi Shayari

Zarb-ul-masal

17 Shers

itni na baDha paki-e-daman ki hikayat
daman ko zara dekh zara band-e-qaba dekh

Shefta Mustafa Khan




lai hayat aae qaza le chali chale
apni KHushi na aae na apni KHushi chale

Sheikh Ibrahim Zauq




ab udas phirte ho sardiyon ki shamon mein
is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein

Shoaib Bin Aziz