ek muddat se teri yaad bhi aai na hamein
aur hum bhul gae hon tujhe aisa bhi nahin
Firaq Gorakhpuri
gharaz ki kaT diye zindagi ke din ai dost
wo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein
Firaq Gorakhpuri
jis mein ho yaad bhi teri shamil
hae us be-KHudi ko kya kahiye
Firaq Gorakhpuri
KHud mujh ko bhi ta-der KHabar ho nahin pai
aaj aai teri yaad is aahista-rawi se
Firaq Gorakhpuri
sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain
Firaq Gorakhpuri
tabiat apni ghabraati hai jab sunsan raaton mein
hum aise mein teri yaadon ki chadar tan lete hain
Firaq Gorakhpuri
tu yaad aaya tere jaur-o-sitam lekin na yaad aae
mohabbat mein ye masumi baDi mushkil se aati hai
You I did remember, your torments all forgot
such innocence in love, is with hardship wrought
Firaq Gorakhpuri