wo koi dost tha achchhe dinon ka
jo pichhli raat se yaad aa raha hai
Nasir Kazmi
zindagi jin ke tasawwur se jila pati thi
hae kya log the jo dam-e-ajal mein aae
Nasir Kazmi
udas sham ki yaadon bhari sulagti hawa
hamein phir aaj purane dayar le aai
Rajinder Manchanda Bani
wo jin ke naqsh-e-qadam dekhne mein aate hain
ab aise log to kam dekhne mein aate hain
Saleem Kausar
we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain
ab dekhne ko jin ke aankhen tarastiyan hain
Sauda Mohammad Rafi
ichhDe logon se mulaqat kabhi phir hogi
dil mein ummid to kafi hai yaqin kuchh kam hai
Shahryar
is dukh mein hae yar yagane kidhar gae
sab chhoD hum ko gham mein na jaane kidhar gae
Shaikh Zahuruddin Hatim