uTh gai hain samne se kaisi kaisi suraten
roiye kis ke liye kis kis ka matam kijiye
Haidar Ali Aatish
wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain
ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho
Ibn e Insha
jin pe nazan the ye zamin o falak
ab kahan hain wo suraten baqi
Ibn-e-Mufti
wo log apne aap mein kitne azim the
jo apne dushmanon se bhi nafrat na kar sake
Khaleel Tanveer
jinhen ab gardish-e-aflak paida kar nahin sakti
kuchh aisi hastiyan bhi dafn hain gor-e-ghariban mein
Makhmoor Dehlvi
hae wo log jo dekhe bhi nahin
yaad aaen to rula dete hain
Mohammad Alvi
jinhen hum dekh kar jite the 'nasir'
wo log aankhon se ojhal ho gae hain
Nasir Kazmi