aaj bhi 'prem' ke aur 'krishn' ke afsane hain
aaj bhi waqt ki jamhuri zaban hai urdu
Ata Abidi
wo itr-dan sa lahja mere buzurgon ka
rachi-basi hui urdu zaban ki KHushbu
Bashir Badr
mera har sher hai ek raaz-e-haqiqat 'beKHud'
main hun urdu ka 'naziri' mujhe tu kya samjha
Bekhud Dehlvi
nahin khel ai 'dagh' yaron se kah do
ki aati hai urdu zaban aate aate
Dagh Dehlvi
urdu hai jis ka nam hamin jaante hain 'dagh'
hindostan mein dhum hamari zaban ki hai
Dagh Dehlvi
shusta zaban shagufta bayan honTh gul-fishan
sari hain tujh mein KHubiyan urdu zaban ki
Farhat Ehsas
meri ghuTTi mein paDi thi ho ke hal urdu zaban
jo bhi main kahta gaya husn-e-bayan banta gaya
Firaq Gorakhpuri