ab na wo ahbab zinda hain na rasm-ul-KHat wahan
ruTh kar urdu to dehli se dakan mein aa gai
Kavish Badri
aat karne ka hasin taur-tariqa sikha
hum ne urdu ke bahane se saliqa sikha
Manish Shukla
hum hain tahzib ke alam-bardar
hum ko urdu zaban aati hai
Mohammad Ali Sahil
tere suKHan ke sada log honge girwida
miThas urdu ki thoDi bahut zaban mein rakh
Mubarak Ansari
ye tasarruf hai 'mubarak' dagh ka
kya se kya urdu zaban hoti gai
Mubarak Azimabadi
mere bachchon mein sari aadaten maujud hain meri
to phir in bad-nasibon ko na kyun urdu zaban aai
Munawwar Rana
adab baKHsha hai aisa rabt-e-alfaz-e-munasib ne
do-zanu hai meri tab-e-rasa tarkib-e-urdu se
Munshi Khairati Laal Shagufta