jinhen ab gardish-e-aflak paida kar nahin sakti
kuchh aisi hastiyan bhi dafn hain gor-e-ghariban mein
Makhmoor Dehlvi
mat sahl hamein jaano phirta hai falak barson
tab KHak ke parde se insan nikalte hain
Mir Taqi Mir
ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha
aankh hairan hai kya shaKHs zamane se uTha
Parveen Shakir
log achchhe hain bahut dil mein utar jate hain
ek burai hai to bas ye hai ki mar jate hain
Rais Farogh
kahani KHatm hui aur aisi KHatm hui
ki log rone lage taliyan bajate hue
Rehman Faris
we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain
ab dekhne ko jin ke aankhen tarastiyan hain
Sauda Mohammad Rafi
jaane wale kabhi nahin aate
jaane walon ki yaad aati hai
Sikandar Ali Wajd