mujhe tauba ka pura ajr milta hai usi saat
koi zohra-jabin pine pe jab majbur karta hai
Abdul Hamid Adam
tauba khaDi hai dar pe jo fariyaad ke liye
ye mai-kada bhi kya kisi qazi ka ghar hua
Ahmad Husain Mail
wo kaun hain jinhen tauba ki mil gai fursat
hamein gunah bhi karne ko zindagi kam hai
who are those that seem to find the time for to repent
for us this life is too short to sin to heart's content
Anand Narayan Mulla
meri sharab ki tauba pe ja na ai waiz
nashe ki baat nahin e'tibar ke qabil
Hafeez Jaunpuri
arsat ke aate hi tauba na rahi baqi
baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi
Hasrat Mohani
main to jab manun meri tauba ke baad
kar ke majbur pila de saqi
Jigar Moradabadi
guzre hain mai-kade se jo tauba ke baad hum
kuchh dur aadatan bhi qadam Dagmagae hain
Khumar Barabankavi