aap ke hote kisi aur ko chahun tauba
kis taraf dhyan hai kya aap ye farmate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
shikast-e-tauba ki tamhid hai teri tauba
zaban pe tauba 'mubarak' nigah saghar pa
Mubarak Azimabadi
tauba ki rindon mein gunjaish kahan
jab ye aaegi nikali jaegi
Mubarak Azimabadi
itni pi hai ki baad-e-tauba bhi
be-piye be-KHudi si rahti hai
Riyaz Khairabadi
jam hai tauba-shikan tauba meri jam-shikan
samne Dher hain TuTe hue paimanon ke
Riyaz Khairabadi
un ke ruKHsar pe Dhalke hue aansu tauba
main ne shabnam ko bhi shoalon pe machalte dekha
Sahir Ludhianvi
hae 'simab' us ki majburi
jis ne ki ho shabab mein tauba
Seemab Akbarabadi