dil ne tamanna ki thi jis ki barson tak
aise zaKHm ko achchha kar ke baiTh gae
Ghulam Murtaza Rahi
ye iltija dua ye tamanna fuzul hai
sukhi nadi ke pas samundar na jaega
Hayat Lakhnavi
KHwab, ummid, tamannaen, talluq, rishte
jaan le lete hain aaKHir ye sahaare sare
Imran-ul-haq Chauhan
ek bhi KHwahish ke hathon mein na mehndi lag saki
mere jazbon mein na dulha ban saka ab tak koi
Iqbal Sajid
KHwahishon ne Dubo diya dil ko
warna ye bahr-e-be-karan hota
Ismail Merathi
ganwai kis ki tamanna mein zindagi main ne
wo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne
Jaun Eliya
hamari hi tamanna kyun karo tum
tumhaari hi tamanna kyun karen hum
Jaun Eliya