Diary mein sare achchhe sher chun kar likh liye
ek laDki ne mera diwan KHali kar diya
Aitbar Sajid
KHushk seron tan-e-shaer ka lahu hota hai
tab nazar aati hai ek misra-e-tar ki surat
Ameer Minai
sada samjho na inhen rahne do diwan mein 'amir'
yahi ashaar zabanon pe hain rahne wale
Ameer Minai
sau sher ek jalse mein kahte the hum 'amir'
jab tak na sher kahne ka hum ko shuur tha
Ameer Minai
shaer ko mast karti hai tarif-e-sher 'amir'
sau botalon ka nashsha hai is wah wah mein
Ameer Minai
wahi rah jate hain zabanon par
sher jo intiKHab hote hain
Ameer Minai
'asghar' ghazal mein chahiye wo mauj-e-zindagi
jo husn hai buton mein jo masti sharab mein
Asghar Gondvi