shama ka shana-e-iqbaal hai taufiq-e-karam
ghuncha gul hote hi KHud sahab-e-zar hota hai
Habeeb Musvi
parwane ki tapish ne KHuda jaane kan mein
kya kah diya ki shama ke sar se dhuan uTha
Ismail Merathi
shama ke manind hum is bazm mein
chashm-e-tar aae the daman-tar chale
Khwaja Meer u0027Dardu0027
parwane aa hi jaenge khinch kar ba-jabr-e-ishq
mahfil mein sirf shama jalane ki der hai
Mahirul Qadri
shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye
hum usi aag mein gum-nam se jal jate hain
the fire,that the flame burns in, for all to see
In that very fire I do burn but namelessly
Qateel Shifai
parwanon ka to hashr jo hona tha ho chuka
guzri hai raat shama pe kya dekhte chalen
Shad Azimabadi
KHak kar dewe jala kar pahle phir Tiswe bahae
shama majlis mein baDi dil-soz parwane ki hai
Shaikh Zahuruddin Hatim