اردو हिंदी
Raushni Shayari | Shaahi Shayari

Raushni

16 Shers

nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi
ye khiDki kholo zara subh ki hawa hi lage

Bashir Badr




andheron ko nikala ja raha hai
magar ghar se ujala ja raha hai

Fana Nizami Kanpuri




chand bhi hairan dariya bhi pareshani mein hai
aks kis ka hai ki itni raushni pani mein hai

Farhat Ehsas




ghar se bahar nahin nikla jata
raushni yaad dilati hai teri

Fuzail Jafri




aushni mein apni shaKHsiyat pe jab bhi sochna
apne qad ko apne sae se bhi kam-tar dekhna

Himayat Ali Shayar




aushan-dan se dhup ka TukDa aa kar mere pas gira
aur phir suraj ne koshish ki mujh se aankh milane ki

Humaira Rahman




aushni mujh se gurezan hai to shikwa bhi nahin
mere gham-KHane mein kuchh aisa andhera bhi nahin

Iqbal Azeem