aisi tarikiyan aankhon mein basi hain ki 'faraaz'
raat to raat hai hum din ko jalate hain charagh
Ahmad Faraz
lamhon ke azab sah raha hun
main apne wajud ki saza hun
Athar Nafees
jaane kitne log shamil the meri taKHliq mein
main to bas alfaz mein tha shaeri mein kaun tha
Bharat Bhushan Pant
na ibtida ki KHabar hai na intiha malum
raha ye wahm ki hum hain so wo bhi kya malum
Fani Badayuni
main bhi yahan hun is ki shahadat mein kis ko laun
mushkil ye hai ki aap hun apni nazir main
Farhat Ehsas
muddat ke baad aaj main office nahin gaya
KHud apne sath baiTh ke din bhar sharab pi
Fazil Jamili
up ki dhup kahan jati hai malum nahin
sham kis tarah utar aati hai ruKHsaron pa
Irfan Siddiqi