اردو हिंदी
Humne kisi ki yaad mein akasr sharab pi | Shaahi Shayari
humne kisi ki yaad mein akasr sharab pi

Ghazal

Humne kisi ki yaad mein akasr sharab pi

Fazil Jamili

;

hum ne kisi ki yaad mein akasr sharab pi
pi kar ghazal kahi to mukarrar sharab pi

yaadon ka ek hujum tha tanha nahin tha main
sahil ki chandni mein samundar sharab pi

muddat ke baad aaj main office nahin gaya
KHud apne sath baiTh ke din bhar sharab pi

is cocktail ka to nasha hi kuchh aur hai
gham ko KHushi ke sath mila kar sharab pi

waise to hum ne pi hi nahin thi kabhi sharab
pine lage to wajd mein aa kar sharab pi

ab kaun ja ke sahib-e-mimbar se ye kahe
kyun KHun pi raha hai sitamgar sharab pi