ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qaem rahe
nind rakkho ya na rakkho KHwab meyari rakho
Rahat Indori
is safar mein nind aisi kho gai
hum na soe raat thak kar so gai
Rahi Masoom Raza
nind TuTi hai to ehsas-e-ziyan bhi jaga
dhup diwar se aangan mein utar aai hai
Sarshar Siddiqui
nind aati hai agar jalti hui aankhon mein
koi diwane ki zanjir hila deta hai
Shahzad Ahmad
tumhaari aankh mein kaifiyyat-e-KHumar to hai
sharab ka na sahi nind ka asar hi sahi
Shahzad Ahmad
kaho to kis tarah aawe wahan nind
jahan KHurshid-ru ho aa ke ham-KHwa
Shaikh Zahuruddin Hatim
muddat se KHwab mein bhi nahin nind ka KHayal
hairat mein hun ye kis ka mujhe intizar hai
Shaikh Zahuruddin Hatim