اردو हिंदी
KHalwat-e-zat hai aur anjuman-arai hai | Shaahi Shayari
KHalwat-e-zat hai aur anjuman-arai hai

Ghazal

KHalwat-e-zat hai aur anjuman-arai hai

Sarshar Siddiqui

;

KHalwat-e-zat hai aur anjuman-arai hai
bazm si bazm hai tanhai si tanhai hai

wo hai KHamosh magar us ke sukut-e-lab par
raqs karta hua ek aalam-e-goyai hai

jab andhere meri aankhon ka lahu chaT chuke
tab in aankhon mein rifaqat ki chamak aai hai

ab KHuda us ko banaya hai to yaad aata hai
jaise us but se to barson ki shanasai hai

nind TuTi hai to ehsas-e-ziyan bhi jaga
dhup diwar se aangan mein utar aai hai

pas-e-diwar-e-abad dekh raha hun ai dost
meri aankhon mein mere ahd ki binai hai

mere chehre pe hai wo aks ki aaina-e-zat
kabhi mera kabhi KHud apna tamashai hai

mere sach mein to koi khoT nahin tha 'sarshaar'
phir ye kyun zahr se tiryak ki bu aai hai