chun sham-e-sozan chun zarra hairan ze mehr-e-an-mah bagashtam aaKHir
na nind nainan na ang chainan na aap aawe na bheje patiyan
Ameer Khusrau
nind ka kaam garche aana hai
meri aankhon mein par nahin aati
Anwar Dehlvi
hamare KHwab chori ho gae hain
hamein raaton ko nind aati nahin hai
Bakhsh Layalpuri
kaisa jadu hai samajh aata nahin
nind meri KHwab sare aap ke
Ibn-e-Mufti
aaj phir nind ko aankhon se bichhaDte dekha
aaj phir yaad koi choT purani aai
Iqbal Ashhar
uTho ye manzar-e-shab-tab dekhne ke liye
ki nind shart nahin KHwab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
maut bar-haq hai ek din lekin
nind raaton ko KHub aati hai
Jamal Owaisi